Ek din Sab theek ho jayega
Ek din sab theek hojayega. Ek din sab ko sab ke hisse ka jwaab mil jayega. Ek din sab theek ho jayega. Jo ajj tumhe tane sunate hai woh v tumse hass kar baat karenge. Yeh saari dikkat or saari paresaniyo ka hal mil jayega. Ek din sab thik ho jayega. Tum husla rakho khud par or apne sapno par,kyuki sapne he toh hame zinda rkhte hai Tumhari sari mahnat or khosiso ka fal mil jayega. Are,tum chinta mat karo ek din sab thik ho jayega. Sayed ajj din tumhara nahi tha iska yeh matlab nahi ki kal v tumhara time na ho kyuki,samay sabka aata hai or tumhara v aaiega. Tum chinta mat karo ek din sab thik ho jayega. Or han tum har us ek ke chare pe muskan dekh sakoge jise dekhne ke liye tumne na jane apne kitne khosi ke pal ko tal diye the. Woh din bhi aaega. Bas Tum chinta mat karo ek din sab thik hojayega❤